khushi khushbu khuda ki ro rahi hai qaza kis ki kahani ho rahi hai hamare shahr ki taswir hai ye qayamat baal khole so rahi hai lahu ka nam sunte hi safedi hatheli be-irada dho rahi hai wo mera ashk ya teri hansi ho kashish har shai barabar kho rahi hai na jaane kis khata par apni basti janaze par janaza dho rahi hai kahi jati nahin 'khurshid-akbar' ghazal mein apni kawish jo rahi hai