khushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-khushi main ne khushi ki aarzu dil mein kabhi palne na di main ne watan ki sar-zamin jis par luta di zindagi main ne wahin apne liye pai mohabbat ki kami main ne jo meri jaan ke dushman the un par jaan di main ne sikhai yun bhi apne dushmanon ko dosti main ne siyasat se fasadon ka bana maskan watan mera jahan sadiyon diya paigham-e-sulh-o-ashti main ne gul-afshan jo zamin thi wo zamin ab aag ugalti hai ajab tabir dekhi hurriyat ke khwab ki main ne sahar kaisi sahar ka zikr bhi ek jurm thahra hai andheri raat ka dekha hai ye andher bhi main ne wahan mujh ko mohazzab bhi na mana jae hairat se jahan tahzib ki buniyaad rakkhi thi kabhi main ne ye taufiq apni apni apna apna zarf hai pyare musalsal tu ne ki bedad paiham dad di main ne shikasta-pai se main apni pichhe rah gaya be-shak magar tezi-e-raftar-e-jahan to jaan li main ne ye ab tujh par hai to qadmon mein rahne de ki thukra de tere qadmon mein rakh di apne dil ki har khushi main ne yaqinan wajh-e-bakhshish naz-e-umr-e-bandagi hota kiya hota agar shayan-e-dar ek sajda bhi main ne yahi kuchh kam nahin kam aagahi ke is zamane mein jahan-e-sher ko bakhsha 'waqar'-e-agahi main ne