wo zimmedari kitni khushi se nibhai thi us ko sarai ki zaban main ne sikhai thi main ne jahan pe pyas ko sairab kar diya dariya ki ek lahr mere hath aai thi jang-e-arab mein chhod gae jab himayati kufa ke ek jawan ne meri jaan bachai thi aurat se bahs karna samajhta tha bas hatak aur nazriyati ladki bhi dil mein basai thi iman ka hisab bhi rakhna pada hamein zati bhalai mein hi khuda ki bhalai thi wadi mein har-su ugne lage paniyon ke phul chashme pe koi husn-bhari aa nahai thi main ne chune hain apni hi marzi ke chand phul warna to mere hisse mein puri khudai thi shayad ki ek raat ke baad aur raat ho sapne mein ek judai ke baad aur judai thi