KHushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai

khushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai
kahan se baat chali thi kahan tak aa gai hai

mera khuda to yaqinan bharam rakhega mera
main jaanta hun ki us tak meri dua gai hai

main aam taur pe chalta hun us se aage magar
kahin kahin mere aage meri ana gai hai

main apne nam ki takhti nahin lagata kahin
mera pata meri be-maegi bata gai hai

sanbhal ke baith tu masnad pe sahib-e-mansab
kisi ki jaan kisi ki yahan qaba gai hai

tujhe ye zoam faqat tu tha raunaq-e-mahfil
jaras ki gunj tere baad ja-ba-ja gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close