nae baras bhi jo mela lagaya jaana hai

nae baras bhi jo mela lagaya jaana hai
gae dinon ko hi is mein bulaya jaana hai

purane ghar ko naya gar banaya jaana hai
zaruratan use pahle giraya jaana hai

mujhe pata hai ki pahle hansaya jaana hai
aur us ke baad bahut hi rulaya jaana hai

jahan pe jaana mere bas ki baat hai hi nahin
main jaanta hun wahin par bulaya jaana hai

bade hi shauq se baitha hua hun mahfil mein
zarur mujh ko yahan se uthaya jaana hai

bhatak rahe hain jo kuchh log aate jate hue
unhen bhi rasta aakhir dikhaya jaana hai

adhed umr ke nisyan ka masala hai yahi
wo yaad aata hai jis ko bhulaya jaana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close