KHushi ki chehre pe gham ka jalal sath liye

khushi ki chehre pe gham ka jalal sath liye
hayat milti hai par intiqal sath liye

bulandiyon pe sabhi aa ke bhul jate hain
uruj aata hai lekin zawal sath liye

wo khun aankhon se rona amal purana hai
ab ashk bahte hain aankhon ki khaal sath liye

kai jami hui parten udhed dalega
ye mujh mein kaun hai utra kudal sath liye

khabar ye ghol na de machhliyon ko pani mein
machhere aaenge kal subh jal sath liye

yahan pe chhod diya to jawab das lenge
main laut jaunga apna sawal sath liye

wo pet ke liye kafi nahin hai ab 'fani'
tu ja raha hai jo rizq-e-halal sath liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close