sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin mukhalif raste hon to mulaqaten nahin hotin ye insanon pe insanon ki fauqiyyat ajab shai hai ragon ki daudti surkhi mein to zaten nahin hotin likhi jati hain sanginon se aazadi ki tahriren kahin khud pesh aazadi ki saughaten nahin hotin jahan shab-khun mara ja sake khwabida logon par kisi bedar millat mein to wo raaten nahin hotin ghata se chhinte hain istada koh barish ko zamin par lete sahraon par barsaten nahin hotin 'nafir' is daur-e-khud-agah insanon ki duniya mein kahin hawi jawan mardon pe aafaten nahin hotin