KHushi ki rah mein gham ki rifaqat leni paDti hai

khushi ki rah mein gham ki rifaqat leni padti hai
talash-e-gul mein kharon se adawat leni padti hai

gale ka haar banna khush-nasibi hai magar logo
gulon se puchh lo kya kya aziyyat leni padti hai

nahin ab ras aati hai faza gulshan ki bulbul ko
yahan lab kholne ki bhi ijazat leni padti hai

jahan har su luteron rahzanon ka hi basera hai
wahan baithe-bithae bhi musibat leni padti hai

zamane ki taraqqi ka yahi anjam hai shayad
miyan 'shahid' ko beton se nasihat leni padti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close