khushi ko pane ka nuskha badal ke aae hain hum apne dil ki tamanna badal ke aae hain hamari khubiyan kaise unhen nazar aaen ki wo nazar nahin chashma badal ke aae hain riwayaton ko banate nahin hain husn-e-ghazal ke hum ghazal ka maqala badal ke aae hain jawaharaat ke dane hain tar sone ke nae shikari hain pinjra badal ke aae hain wo muflison ki thi basti isi liye shayad khilaune wale bhi rasta badal ke aae hain hawaen apne thikanon ko laut jaengi hum apni khidki ka parda badal ke aae hain 'adib' farq nahin dost aur dushman mein ki dost bhi to mukhauta badal ke aae hain