naz raston ke uthate hue thak jata hun main teri bazm mein aate hue thak jata hun phir nae gham ki zarurat hai meri ghazlon ko roz ki baat batate hue thak jata hun zindagi tujh se bhi ab ruthne ko dil chahe barha tujh ko manate hue thak jata hun lab-kushai to karo tum bhi mere haq mein kabhi main tumhaara hun batate hue thak jata hun qarz kam-zarf se lene mein hai nuqsan bahut us ka ehsan chukate hue thak jata hun ilm hota hai haqiqat mein jahaalat ka jawab main to asbaq padhate hue thak jata hun dil ka wo mail magar saf nahin hota 'adib' hath dushman se milate hue thak jata hun