khushi kya ho jo meri baat wo but man jata hai maza to behad aata hai magar iman jata hai banun council mein speaker to rukhsat qiraat-e-misri karun kya membari jati hai ya quran jata hai zawal-e-jah o daulat mein bas itni baat achchhi hai ki duniya mein ba-khubi aadmi pahchan jata hai nai tahzib mein diqqat ziyaada to nahin hoti mazahib rahte hain qaim faqat iman jata hai theater raat ko aur din ko yaron ki ye speechen duhai lat sahab ki mera iman jata hai jahan dil mein ye aai kuchh kahun wo chal diya uth kar ghazab hai fitna hai zalim nazar pahchan jata hai chunan burdund sabr az dil ke qisse yaad aate hain tadap jata hun ye sun kar ki ab iman jata hai