in sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai kabhi tum bhi suno ye dharti kya kuchh kahti hai ye thithuri hui lambi raaten kuchh puchhti hain ye khamushi aawaz-numa kuchh kahti hai sab apne gharon mein lambi tan ke sote hain aur dur kahin koyal ki sada kuchh kahti hai jab raat ko tare bari bari jagte hain kai dube hue taron ki nida kuchh kahti hai kabhi bhor bhae kabhi sham pade kabhi raat gae har aan badalti rut ki hawa kuchh kahti hai mehman hain hum mehman-sara hai ye nagri mehmanon ko mehman-sara kuchh kahti hai bedar raho bedar raho bedar raho ai ham-safaro aawaz-e-dara kuchh kahti hai 'nasir' aashob-e-zamana se ghafil na raho kuchh hota hai jab khalq-e-khuda kuchh kahti hai