khushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya hawas ki tez aanch ko bujha bujha ke pi gaya nazar ke sagaron mein jo bhari thi tu ne arghawan teri hasin aankh se chura chura ke pi gaya nasihaton ke darmiyan jo tak rahi thi jam ko usi nigah-e-bad se main bacha bacha ke pi gaya mili jo tere hath se to ho gaya nasha do-chand raqib-e-ru-siyah ko dikha dikha ke pi gaya qalil bhi mili kabhi to ki isi pe iktifa badhi hui talab ko main daba daba ke pi gaya jhuki jhuki nigah mein hazar kaif-o-mastiyan usi nigah-e-naz ko utha utha ke pi gaya falak pe kali badliyan qarib-e-ruh-e-dilkashi piyale se piyale ko mila mila ke pi gaya