raat khadi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye ai man tu bhi umr bata de naqsh-e-khayal liye lamhe ye be-rang patange kab aate hain hath sara sara din phirta hai suraj jal liye phul-jhadiyan si chhut rahi hain sham ke daman mein kaun khada hai narangi sa chehra lal liye aaj samajh mein aaya apni aankhon ka mafhum har insan hai surat par do zakhm-e-malal liye ujli chandni raat si aankhen ujla dhup sa mukh hae re wo hirni si ladki shauq-e-visal liye ghar walon se tod ke nata kis ne paya mujh ko kahan phiroge shair sahab dast-e-sawal liye gulzaron mein basne wale bhakkar des bhi dekh thal ka registan bhi hai guddi mein lal liye aaj talak us aurat se aata hai khauf 'khalil' ghar mein ek din ghus aai thi bikhre baal liye