khushi taqsim karti hun dil-azari nahin aati mera maqsad hai gham-khwari adakari nahin aati yahan wo aage aata hai ki jo fankar hota hai mujhe darweshi ke chole mein ayyari nahin aati abhi sab kuchh mayassar hai kami koi nahin baqi na-jaane phir bhi pahle jaisi sarshaari nahin aati mere kuchh faisle mere nahin so darguzar karna abhi sasural mein rahti hun inkari nahin aati main jab matam ko jati hun kinare baith jati hun yunhi aansu bahati hun aza-dari nahin aati chalo jo bhi hua hum man ke rahen badalte hain mujhe ab faislon mein koi dushwari nahin aati main apne kamre se sari kitaben le to aai hun wo jis mein lams tha tera wo almari nahin aati