KHushi zaruri nahin sirf zindagi ke liye

khushi zaruri nahin sirf zindagi ke liye
mata-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye

na hoga raegan us shakhs ka koi sajda
jo dil se sar ko jhukata hai bandagi ke liye

ye kaisi aag lagai hai nafraton ki yahan
taras raha hai har ek shakhs ek hansi ke liye

pata nahin tumhein ye kaam kitna mushkil hai
rah-e-wafa mein nikal aae aashiqi ke liye

tu be-naqab sar-e-bazm saqiya aa ja
taras rahi hai meri aankh mai-kashi ke liye

tumhaari yaad ki khushbu mili mujhe har pal
uthaya jab bhi qalam main ne shaeri ke liye

had-e-nigah yahan dhup hi ka sahra hai
'hira' batao kahan jaen tishnagi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close