mere badan ko ghusl de ke pak kar diya gaya

mere badan ko ghusl de ke pak kar diya gaya
phir is ke baad mujh ko zer-e-khak kar diya gaya

jahan pe thodi der hi sahi wo aate the magar
ye kya hua ki khidkiyon ko lock kar diya gaya

sitamgaron ke zulm se hua ye faeda hamein
ki hum ko har tariqe se bebak kar diya gaya

yahan pe jhut hi ka bas hai bol-baala har taraf
hai jis ne haq ki baat ki halak kar diya gaya

zariya ab koi nahin main un ko kaise khat likhun
ki dur ghar ke pas se hai dak kar diya gaya

bahut dinon ke baad dil 'hira' kahin laga magar
phir ek hi ghadi mein dil ko chaak kar diya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close