khushk aankhon se koi pyas na jodi hum ne aas hum se jo sharabon ko thi todi hum ne barha hum ko mila apne lahu mein wo sharar apni dukhti hui rag jab bhi nichodi hum ne jo sanwarne ko kisi taur bhi raazi na hui bhad mein phenk di duniya wo nigodi hum ne is tarah hum ne samundar ko pilaya pani apni kashti kisi sahil pe na modi hum ne jab koi chand mila dagh na dekhe us ke aankh suraj se mila kar na sikodi hum ne gard ghairat ke badan par jo nazar aai kabhi der tak apni ana khub jhinjhodi hum ne