rind betab hain ghanghor ghata chhai hai mai-kade gunj rahe hain wo bahaar aai hai bazm-e-aghyar mein us ne mujhe daryaft kiya baad muddat ke use yaad meri aai hai kat hi jati hain kisi tarah hamari raaten gham salamat rahe wo monis-e-tanhai hai qatl karne ko mere aate hain wo tegh-ba-dast main samajhta hun mere haq mein masihai hai un ko ye zid hai na dekhenge kabhi meri taraf main ne bhi dar se na uthne ki qasam khai hai hai ye rindon ke taaqub mein koi raaz amiq warna auron se bhi waiz ki shanasai hai puchhne aae hain wo haal mera ai 'hafiz' zoaf se salb yahan taqat-e-goyai hai