KHushk daman pe barasne nahin deti mujhko

khushk daman pe barasne nahin deti mujh ko
meri ghairat kabhi rone nahin deti mujh ko

ek khwahish hai jo muddat se gala ghonte hai
ek tamanna hai jo marne nahin deti mujh ko

zindagi roz naya dard sunati hai magar
apne aansu kabhi chhune nahin deti mujh ko

dil to ahbab se milne ko bahut chahta hai
muflisi ghar se nikalne nahin deti mujh ko

kuchh to kanon ko satata hai ye tanhai ka shor
kuchh meri khamushi sone nahin deti mujh ko

fikr ghurbat ki mere pichhe padi ho jaise
chain se luqma nigalne nahin deti mujh ko

le to aati hai zarurat mujhe bazaron tak
ek ana hai ki jo bikne nahin deti mujh ko

itna ehsan to karti hai 'raza' mujh pe hayat
tut jaun to bikharne nahin deti mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close