khushk dariya pada hai khwahish ka khwab dekha tha hum ne barish ka mustaqil dil jalae rakhta hai hai ye mausam hawa ki sazish ka us se kahne ko to bahut kuchh hai waqt milta nahin guzarish ka koi us se to kuchh nahin kahta bo raha hai jo beach ranjish ka pa-ba-zanjir chal rahe hain jo hum ye bhi pahlu hai ek numaish ka phul kal the to aaj patthar hain ye bhi andaz hai sataish ka main ne aankhon se guftugu kar li ye hunar hai zaban ki bandish ka khil rahe hain gulab zakhmon ke shukriya aap ki nawazish ka jari mashq-e-sukhan rahe 'ejaz' kuchh sila to milega kawish ka