maut si KHamoshi jab un labon pe tari ki

maut si khamoshi jab un labon pe tari ki
tab kahin nibha pai rasm raazdari ki

hum abhi nidamat ki qaid se nahin nikle
katte hain roz o shab fasl be-qarari ki

bhul hi nahin sakte ai gham-e-jahan tu ne
jis tarah pazirai umr bhar hamari ki

kam zara na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki sari umr pasdari ki

sab ana-parasti ki masnadon pe hain faez
sar kare kadi manzil kaun khaksari ki

pur-khatar rifaqat wo jo mafad ke tabe
soch be-samar apni zat ke pujari ki

ek dard ki lazzat barqarar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khun se aabyari ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close