khushk honton ki ana mail-e-saghar kyun hai tu samundar hai to ye pyas ka manzar kyun hai ye fusun-kari-e-ehsas hai ya aks-e-hayat aaina-khane ka har aaina shashdar kyun hai qurb-e-sahil bhi thaharti nahin ab kashti-e-jaan itna barham mere andar ka samundar kyun hai shoala shoala hai har ek shakh meri palkon ki phir bhi aankhon mein hasin khwab ka paikar kyun hai jumbish-e-lab ki bhi jurat nahin hasil hai agar phir mere dil mein ye jazbaat ka lashkar kyun hai kya koi lamha-e-jaan-soz hai aane wala lau diye ki mere is raat fuzun-tar kyun hai dhang aaya na tujhe bhes badalne ka 'said' baat jo dil mein hai tere wahi lab par kyun hai