kya chale kucha-e-jaanan ki hawa mere sath

kya chale kucha-e-jaanan ki hawa mere sath
roz aa lagta hai ek dasht naya mere sath

ek zamana hai yahan dast-o-gareban mujh se
tu ne kya daman-e-dil bandh liya mere sath

ghar ke aangan se parinde bhi pare rahte hain
jab se rahta hai koi dost khafa mere sath

roz-e-awwal se hun main sabz-e-mohabbat ka asir
saya-afgan hai darakhton ki dua mere sath

kuchh mera ahd bhi qatil hai to kuchh bahr-e-junun
zindagi rakhti hai ek hashr bapa mere sath

dar-ba-dar ho ke bhi hatta nahin raste se faqir
moajize karti hai wo gardish-e-pa mere sath

baat karta hai sahifon mein koi aur 'said'
pesh aata hai koi aur khuda mere sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close