khwab aankhon mein sajaana bhi zaruri thahra zinda rahne ka bahana bhi zaruri thahra us ko ehsas-e-pazirai dilane ke liye dar-o-diwar sajaana bhi zaruri thahra jo sitam us ne kiye us ko jatane ke liye aaina us ko dikhana bhi zaruri thahra teri yaaden jo pareshan kiye rakhti hain is liye tujh ko bhulana bhi zaruri thahra mahw ho jae mere zehn se bhi us ki shabih us ki taswir hatana bhi zaruri thahra ye hai dastur-e-mohabbat ki hamesha jis mein wasl ke sath bichhadna bhi zaruri thahra apne chehre pe saja li hai ye be-kaif hansi dard ko dil mein chhupana bhi zaruri thahra rasm-e-ulfat ko nibhana hai 'sabiha' yun bhi ruth jae to manana bhi zaruri thahra