sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin tu be-hijab anjuman-ara kahan nahin main mir-e-karwan hun pas-e-karwan nahin hathon mein mere daman-e-manzil kahan nahin maujudgi-e-jannat-o-dozakh se hai ayan rahmat hai ek bahr magar be-karan nahin chahe hijab mein raho to chahe be-hijab hum tum hi to hain aur koi darmiyan nahin barq-e-jamal-e-dost na ho is pe shola zan tera bhi ghar hai sirf mera aashiyan nahin dilchaspiyan bahut si hain is ikhtisar mein kuchh gham nahin shabab agar jawedan nahin sakit falak ko muft mein zalim bana diya gardish mein hai zamin faqat aasman nahin nakaam-tar hain meri shikasta-nasibiyan 'makhmur' sirf zist hi na-kaamran nahin