khwab aankhon se chune nind ko viran kiya is tarah us ne mujhe be-sar-o-saman kiya khak-e-viran tha faqat hu ki sada gunjti thi meri wahshat ne bayaban ko bayaban kiya main ne ek shakhs ki shaista-mizaji ke liye apni har khwahish-e-khush-rang ko qurban kiya us ne jab chaak kiya wajd mein pairahan-e-jaan main ne bhi nazr-e-junun apna gireban kiya umr bhar zabt ki diwar na todi main ne aah khinchi na kabhi ranj ka elan kiya aks-e-hairat ke siwa kuchh na tha aaine mein apni aankhon ko bahut main ne pareshan kiya phir bhi tamir-e-tamanna ki na takmil hui main ne aangan ko kabhi dar kabhi dalan kiya bant di logon mein us ne meri daryuza-gari phir mujhe 'akhtar'-e-kam-maya se sultan kiya