khana-barbaad hue be-dar-o-diwar rahe phir bhi hum un ki itaat mein giraftar rahe thokaren kha ke bhi shaista-mizaji na gai faqa-masti mein bhi hum sahib-e-dastar rahe apni surat se hirasan hai har ek shakhs yahan kaun is shahr mein ab aaina-bardar rahe aate jate hue mausam ko dua dete raho kam se kam shakh-e-tamanna to samar-dar rahe dastaken hongi dar-e-dil pe koi aaega raat bhar hum isi ummid mein bedar rahe dar-ba-dar phirte rahe khana-ba-doshon ki tarah zindagi hum teri tahwil mein be-kar rahe khak kyun udne lagi rah-e-junun mein 'akhtar' rasan-o-dar ka koi to talabgar rahe