khwab aankhon se zaban se har kahani le gaya mukhtasar ye hai wo meri zindagani le gaya phul se mausam ki barsaten hawaon ki mahak ab ke mausam ki wo sab shamen suhani le gaya de gaya mujh ko sarabon ka sukut-e-mustaqil mere ashkon se wo dariya ki rawani le gaya khak ab udne lagi maidan sahra ho gae ret ka tufan dariyaon se pani le gaya kaun pahchanega 'zarrin' mujh ko itni bhid mein mere chehre se wo apni har nishani le gaya