khwab dekhe the suhane kitne jag uthe dard purane kitne ek jalwe ki farawani se ban gae aaina-khane kitne chaal se haal ki late hain khabar log hote hain siyane kitne bujh kar bhi na bataun tujh ko teri mutthi mein hain dane kitne be-irada jo hue ashk-e-rawan lut gae gham ke khazane kitne tum zara ruth ke dekho to sahi log aate hain manane kitne hum ne sirf ek tabassum ke liye zakhm khae hain na jaane kitne dub marne ka nahin koi jawaz zinda rahne ke bahane kitne sard-mehri se teri mahfil mein jal-bujhe log na jaane kitne yaad-e-mazi se simat aae hain ek lamhe mein zamane kitne ek nazar dekha tha us ne 'sahir' gadh liye dil ne fasane kitne