nutq palkon pe sharar ho to ghazal hoti hai aastin aag se tar ho to ghazal hoti hai hijr mein jhum ke wijdan pe aata hai nikhaar raat suli pe basar ho to ghazal hoti hai koi dariya mein agar kachche ghade par taire sath sath is ke bhanwar ho to ghazal hoti hai muddat-e-umr hai matlub riyazat ke liye zindagi bar-e-digar ho to ghazal hoti hai lazmi hai ki rahen zer-e-nazar ghaib o huzur donon aalam ki khabar ho to ghazal hoti hai qab qausain ki arman-e-payambar ki qasam husn chilman ke udhar ho to ghazal hoti hai hath lagte hain falak hi se mazamin 'afzal' dil mein jibril ka par ho to ghazal hoti hai