khwab-e-derina se rukhsat ka sabab puchhte hain chaliye pahle nahin puchha tha to ab puchhte hain kaise khush-taba hain is shahr-e-dil-azar ke log mauj-e-khun sar se guzar jati hai tab puchhte hain ahl-e-duniya ka to kya zikr ki diwanon ko sahiban-e-dil-e-shorida bhi kab puchhte hain khak udati hui raaten hon ki bhige hue din awwal-e-subh ke gham aakhir-e-shab puchhte hain ek hum hi to nahin hain jo uthate hain sawal jitne hain khak-basar shahr ke sab puchhte hain yahi majbur yahi mohr-ba-lab be-awaz puchhne par kabhi aaen to ghazab puchhte hain karam-e-masnad-o-mimbar ki ab arbab-e-hakam zulm kar chukte hain tab marzi-e-rab puchhte hain