wo naghma bulbul-e-rangin-nawa ek bar ho jae kali ki aankh khul jae chaman bedar ho jae nazar wo hai jo is kaun o makan se par ho jae magar jab ru-e-taban par pade bekar ho jae tabassum ki ada se zindagi bedar ho jae nazar se chhed de rag rag meri hushyar ho jae tajalli chehra-e-zeba ki ho kuchh jam-e-rangin ki zamin se aasman tak aalam-e-anwar ho jae tum us kafir ka zauq-e-bandagi ab puchhte kya ho jise taq-e-haram bhi abru-e-khamdar ho jae sahar laegi kya paigham-e-bedari shabistan mein naqab-e-rukh ulat do khud sahar bedar ho jae ye iqrar-e-khudi hai dawa-e-iman-o-din kaisa tera iqrar jab hai khud se bhi inkar ho jae nazar is husn par thahre to aakhir kis tarah thahre kabhi khud phul ban jae kabhi rukhsar ho jae kuchh aisa dekh kar chup hun bahaar-e-alam-e-imkan koi ek jam pi kar jis tarah sarshaar ho jae chala jata hun hansta khelta mauj-e-hawadis se agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae