KHwab-e-KHush kahne hi ko apna tha apna kuchh na tha

khwab-e-khush kahne hi ko apna tha apna kuchh na tha
harf-e-azadi suna tha hum ne samjha kuchh na tha

kaun kahta hai ki duniya mein hamara kuchh na tha
jab tak apne farz ka ehsas tha kya kuchh na tha

hath khali apni manzil se chala su-e-adam
ai musafir kuchh tere qabze mein tha ya kuchh na tha

baat kahne ki nahin lekin haqiqat hai yahi
meri hasti se jo sab kuchh hai wo tanha kuchh na tha

un ki ek karwat pe ho jati hai duniya muztarib
main tadapta tha magar mera tadapna kuchh na tha

pur-sukun thi mere dil ki tarah masjid ki faza
kitne fitne aaj uthe hain kal ye jhagda kuchh na tha

daman-e-daulat tha jab tak daman-e-aghyar mein
aap bhi the hum bhi the ye mera tera kuchh na tha

rahm ke qabil hai us ka aalam-e-bechaargi
kah diya jis ne bahut kuchh aur socha kuchh na tha

hum ko kis kis ne na sikhlae tariqe sabr ke
apne upar waqt jab aaya tariqa kuchh na tha

e'tiraf-e-masiyat thi mai-kashi ke sath sath
mai-kade mein naz-e-tasbih-o-musallla kuchh na tha

sau irade the amal ke hausle ko kya karen
ab to kahne ke liye un ka irada kuchh na tha

fitrat-e-insan pe jab tak ishq tha partaw-fagan
jauhar-e-insaniyat ko 'najm' khatra kuchh na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close