kisi din dagh-e-gumrahi rahega un ke sar ho kar

kisi din dagh-e-gumrahi rahega un ke sar ho kar
jo apni rah chalte hain hamare rahbar ho kar

bizaat kya rahegi masraf-e-naqd-o-nazar ho kar
ghanimat hai jo koi aib rah jae hunar ho kar

nai qaiden badhin minnat-guzar-e-baal-o-par ho kar
dawa-e-dard-e-dil aai azab-e-dard-e-sar ho kar

sukun hasil hai mujh ko bandagi mein bhi mohabbat ki
tumhein rahat nahin milti khuda-e-sim-o-zar ho kar

hazaron qahqahon mein gum na ho jae sada meri
akela kya karun insaniyat par nauhagar ho kar

wo kya jaanen ki tewar aur hain ab jazba-e-dil ke
ye samjhe hain ki rah jaega kuchh din shor shar ho kar

diya karta hai insan apne dil ko bhi fareb aisa
khabar sab kuchh hai aur baithe hue ho be-khabar ho kar

na puchho dahr mein kuchli gai hai zindagi kitni
kahin be-dast-o-pa ho kar kahin be-baal-o-par ho kar

kabhi azm-e-amal ki taqaton mein kham nahin aaya
dikhai aankh duniya ne bahut zer-o-zabar ho kar

khuda malum dil se kya jawab-e-talkh milta hai
mohabbat ka payam aaya hai mahrum-e-asar ho kar

nazar aae hamesha aib auron ke hunar apne
nigahon ne dagha di aarif-e-aib-o-hunar ho kar

dil-e-pur-dard ko be-dard duniya kya samajhti hai
sahega war tanha amn-e-alam ki sipar ho kar

zamana ho chuka baatil ki afsana-taraazi ka
haqiqat rang lai hai nawa-e-kargar ho kar

ajal hogi wo kaisi jine wale sochte honge
ajal ko dhundhta hun zindagi se bahra-war ho kar

na azm-e-ahani tha jin ki qismat mein na manzil thi
pade hain rahguzar par kushtagan-e-sim-o-zar ho kar

harifon ko mubarak ho barae-nam aazadi
ye aai hai unhin ke ghar hayat-e-mukhtasar ho kar

hunar-mandon ka aapas mein hasad ai 'najm' kya mani
hunar se dushmani rakhte hain ye ahl-e-hunar ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close