KHwab-e-shab-e-pur-kaif ki tabir to dega

khwab-e-shab-e-pur-kaif ki tabir to dega
kuchh aur nahin apni wo taswir to dega

jate hue yak bar palat kar meri jaanib
wo meri mulaqat ko tauqir to dega

angdaiyon ke sath wo gesu ka nazara
zulfon ki mere panw mein zanjir to dega

maqsud use qatl hai to dekhna ek din
hathon mein mere dost ke shamshir to dega

kho jae na zulmat mein kahin zist ye meri
wo rah-e-wafa mein mujhe tanwir to dega

inkar-e-mohabbat pe bhi 'rahbar' ko yaqin hai
wo an-kahi har baat ki tafsir to dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close