khwab-gar khwab banata hi chala jata hai jis ko jo aae samajh us ko utha lata hai raat bujhti hai to jag uthte hain wahshi manzar din ujadta hai to dil khauf pe uksata hai tu ne jalte hue manzar ko hawa kyun di thi rakh ab udne lagi hai tu kidhar jata hai ye tere soche hue rang ka muhtaj nahin husn to husn hai har rang mein itraata hai dekhne wale mohabbat ki nazar se dekhen main wo manzar hun jise husn-e-nazar bhata hai ai moallim ki tarah ishq padhane wale ishq lecture se nahin kar ke samajh aata hai ek mushtaq-nigahi ki talab mein 'shahid' jis ko dekho wahi taswir hua jata hai