chehre pe mere ab wo raunat nahin rahi aaina dekhne ki zarurat nahin rahi qabu mein phir hamari ibaadat nahin rahi wirse mein jo mili thi imarat nahin rahi sad shukr apne panw pe chalne laga hun main baisakhiyon ki mujh ko zarurat nahin rahi jiwan hai jaise dhup mein dimak-zada kitab jis ke waraq ulatne ki himmat nahin rahi ilm-o-hunar sadaqat-o-mehr-o-wafa khulus bazar mein kisi ki bhi qimat nahin rahi sota hun aankhen mund ke bhigi zamin par achchha hai mere sar pe koi chhat nahin rahi kasa-ba-dast ghum rahi hain sharafaten ab un ko munh chhupane ki hajat nahin rahi sach bolna tapak se milna har ek se jazbe ye wo hain jin mein hararat nahin rahi kai ki ek chatan pe thahra hua hun main pairon ko ab phisalne ki aadat nahin rahi