khwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya qarz-e-dil kya qarz-e-jaan bhi aaj chukta kar diya ghair ko ilzam kyun den dost se shikwa nahin apne hi hathon kiya jo kuchh bhi jaisa kar diya kuchh khabar bhi ho na pai is dayar-e-ishq mein kaun yusuf ho gaya kis ko zulekha kar diya dil ke darwaze pe yaaden shor jab banne lagin dhadkanon ka nam de kar bojh halka kar diya kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath jin ki rukhsat ne hamara shahr suna kar diya apne pyaron ko bachaya dard ki har mauj se aankh mein sailab roka dil ko dariya kar diya phul, paude, ped, bachche ghar ka aangan aur tum khwahishon ke nam par in sab ko yakja kar diya gham nahin la-hasili ka ishq ka hasil hai ye ai hisab-e-zindagi tujh ko to pura kar diya hijr se hijrat talak har dukh se samjhauta kiya bhid mein rah ke bhi main ne khud ko tanha kar diya ye zamin 'hasrat' ki hai is par qadam rakkha to phir itni jurat ho gai arz-e-tamanna kar diya