aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai sham dhalne ko hai zindagi ki khuda aur kya chahta hai dhup ki niyyaton mein bhadakne lage nafraton ke alaw ai ghata is liye tujh ko mera badan odhna chahta hai nind ki rahaton se nahin mutmain silsila dhadkanon ka phir dil-e-zar ranaiyon mein gundha ratjaga chahta hai teri nazdikiyon ko pahan ke main shahzada lagne laga hun chhu ke ranginiyan ab ke dekhun teri ji, bada chahta hai parwarish hauslon ki tamam umr mere lahu ne khamoshi se ki ab junun aks ko dekhne ke liye aaina chahta hai jo hatheli ki sari purani lakiron ko tabdil kar de aisa khush-rang har aadmi ab yahan saneha chahta hai tum samundar ke sahme hue josh ko mera paigham dena mausam-e-habs mein phir koi aaj taza hawa chahta hai umr bhar aansuon se jo dhota raha chehra mahrumiyon ka wo teri rahmaton se mere maula ab ke jaza chahta hai naz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-mukhtasar par aaj mahsus aisa hua hai ki wo fasla chahta hai