khwab hain sare nae aankh purani meri hai tazadat se bharpur kahani meri tujh se main kahta na tha andhi hawa se bachna sun ke bhi ek yahi baat na mani meri kha gaya karb-e-zamana mere lahje ka waqar aam thi warna yahan shoala-bayani meri ufuq-e-dil pe ye bujhta hua rangon ka hujum mangta rahta mujhi se hai nishani meri din ka har zakhm main raaton ko gina karta hun din hai be-kaif mera raat suhani meri mithe chashmon se jo guzroge yaqin hai mujh ko yaad aaegi bahut tishna-dahani meri phailna hai meri fitrat mein ki hun mauja-e-gul raegan jaegi kab khu-e-rawani meri