dil ka har saz chhida saz baje hain dil mein tu jo aaya to kai phul khile hain dil mein ye bhi mumkin tha ki bach jata talluq lekin hum ko malum nahin tha ki gile hain dil mein raushni khud hi tujhe mera pata de degi kyunki yaadon ke kai dip jale hain dil mein ye jo sannata meri ruh mein utra tha kabhi us ne afsane nae dekh bune hain dil mein ek hi shakhs tha duniya mein mohabbat ke liye baqi to bharti ke ahbab rakhe hain dil mein hum se izhaar ki jurat na hui thi warna tujh ko batlate ki kya khwab saje hain dil mein ru-ba-ru ashk-e-nadamat to bahe wo 'fahmi' jis ke tufan kai sal rahe hain dil mein