khwab hi ke sath mere khwab ki tabir thi shab ko zulfen hath mein thin subh ko zanjir thi kashmakash mein is tarah guzri hai sari zindagi umr bhar tadbir se uljhi hui taqdir thi kya jhuka sakta koi meri jabin-e-shauq ko is pe jab kanda tumhaare hath ki tahrir thi aaj tak barham hain mujh se aaj tak ruthe hue kah diya tha haal-e-dil itni meri taqsir thi hadsat-e-zindagi ne hi sanwari zindagi ye inayat aap ki thi ya meri taqdir thi be-qarari khinch lai un ki bazm-e-naz se warna un ke multafit hone mein kya takhir thi thin tasawwur mein mere kaun-o-makan ki wusaten markaz-e-zauq-e-nazar lekin teri taswir thi dastan-e-gham zaban-e-haal se kar di bayan kya hua hum par agar pabandi-e-taqrir thi hum to paband-e-mohabbat hain 'shifa' ab kya karen warna jo chaha hua ye aah mein tasir thi