mukammal ho gae wahshat ke saman hum na kahte the

mukammal ho gae wahshat ke saman hum na kahte the
pukarenge hamein dasht-o-bayaban hum na kahte the

na ghabra ai dil-e-bargashta-saman hum na kahte the
jafa par husn khud hoga pasheman hum na kahte the

'shifa' wahshat banegi mir-e-saman hum na kahte the
mohabbat karke pachhtaega nadan hum na kahte the

zara aane to do tughyaniyan bahr-e-mohabbat mein
phir istiqbaal ko aaenge tufan hum na kahte the

chaman mein gham se badh kar kaun tha tum kyon chale aae
hazaron phul honge chaak-daman hum na kahte the

tumhaari shokh nazren kis liye utthi thin maston par
banenge dhajjiyan jaib-o-gareban hum na kahte the

masiha ban to baithe ho masihai nahin aati
na hoga tum se dard-e-dil ka darman hum na kahte the

bahut mahngi padegi bulbul-e-nashad aazadi
qafas ban jaega sehn-e-gulistan hum na kahte the

mohabbat mein dil-o-jaan se 'shifa' kab kaam chalta hai
fida karne padenge din-o-iman hum na kahte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close