khwab jaisi hi koi apni kahani hoti yun to barbaad na ye apni jawani hoti tere aane se chahak uthta ye virana-e-dil phir se aabaad wahi rawish purani hoti rabta rakha na diya ja-e-sukunat ka pata is tarah bhi hai koi naql-e-makani hoti ab mere pas nahin koi bhi rone ka jawaz hijr mausam ki sahi ashk fishani hoti yaad karne ka tujhe koi bahana bhi nahin koi chhalla koi chaudi hi nishani hoti ab tere hijr se manus tabiat hai meri pahle wali si nahin jaan pe girani hoti nakhl-e-jaan pe jo barasta tera baadal 'mariyam' kuchh to kam badan ki ye tishna-dahani hoti