kis qadar khush-nasib hote hain jo sharif-o-najib hote hain kya nahin hote qabil-e-izzat dahr mein jo gharib hote hain be-khirad doston se to behtar han raqib-e-labib hote hain dar pe ab sailon ki dastak se sad pareshan mujib hote hain jaan lete hain jo marizon ki kya wo qatil tabib hote hain kyon mohabbat ki rah mein hi sada gham hi paiham nasib hote hain log bas un ko takte rahte hain zahiran jo shabib hote hain sarfaraazi unhin ko milti hai wo jo ahl-e-shakib hote hain dur rah kar bhi zahiran kuchh log dil ke behad qarib hote hain gulsitan-e-adab mein ai 'nuri' naghma-khwan bas adib hote hain