khwab jo dekhe hain main ne unhen paikar dega mera sahra mujhe ek roz samundar dega ek qatra jo larazta hai meri palkon par zard mausam ko yahi qatra hara kar dega mujh ko kuchh aur fazaon mein bikhar jaane do mera ehsas khalaon mein mujhe ghar dega hun gunahgar magar itna gunahgar nahin mujh ko dega bhi to wo phul sa patthar dega sochta hun to thakan aur bhi badh jati hai phir mujhe izn-e-safar harf-e-mukarrar dega isi aalam mein mere khwabon ki duniya bhi hai meri duniya ko bhi waqt ek payambar dega mere hamraaz mere dost mere sath na chal lamha lamha tujhe aawaz ki thokar dega