khwab ka rishta haqiqat se na joda jae aaina hai ise patthar se na toda jae ab bhi bhar sakte hain mai-khane ke sab jam-o-subu mera bhiga hua daman jo nichoda jae har qadam marhala-e-marg-e-tamanna hai magar zindagi phir bhi tera sath na chhoda jae aao phir aaj kureden dil-e-afsurda ki rakh aao soi hui yaadon ko jhinjhoda jae ho wo tauba ke ho saghar ke ho paiman-e-wafa kuchh na kuchh aaj to mai-khane mein toda jae zulf o rukh aaj bhi unwan-e-ghazal hain 'manzur' rukh udhar gardish-e-ayyam ka moda jae