khwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae phir wahi rang ba-sad taur jalae bhi gae unhin shahron ko shitabi se lapeta bhi gaya jo ajab shauq-e-farakhi se bichhae bhi gae bazm shokhi ka kisi ki kahen kya haal-e-jahan dil jalae bhi gae aur bujhae bhi gae pusht mitti se lagi jis mein hamari logo usi danggal mein hamein daw sikhae bhi gae yaad-e-ayyam ki ek mahfil-e-jaan thi ki jahan hath khinche bhi gae aur milae bhi gae hum ki jis shahr mein the sog-nashin-e-ahwal roz is shahr mein hum dhum machae bhi gae yaad mat rakhiyo ye rudad hamari hargiz hum the wo taj-mahal 'jaun' jo dhae bhi gae