jada-e-rah khur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa charkh wa karta hai mah-e-nau se aaghosh-e-widaa shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan shoala-e-awaz-e-khuban par ba-hangam-e-simaa jun par-e-taus jauhar takhta mashq-e-rang hai bas-ki hai wo qibla-e-aina mahw-e-ikhtiraa ranjish-e-hairat-sarishtan sina-safi peshkash jauhar-e-aina hai yan gard-e-maidan-e-nazaa chaar su-e-dahr mein bazar-e-ghaflat garm hai aql ke nuqsan se uthta hai khayal-e-intifaa aashna 'ghaalib' nahin hain dard-e-dil ke aashna warna kis ko mere afsane ki tab-e-istimaa